Memon's Shayari World

Sufi's Collection

Home
Dua Shyari
Zain's Collection
Sufi's Collection
Zuhair's Collection
Best Naats Videos
New Collection 2011
Contact Us
Urdu Poetry SMS

Ik andekhi si larki ne
kuch yun dil ko mehsur kiya
bin chahe bin soche
kyun rone pe majboor kiya


ik mauj ko maanind aayi thi
phir khaamoshi se lot gayi
par mujh ko hairaan chor gayi
kya lagti thi woh meri
yeh soch k dil bechain hua


kuch baat thi aakhir us me bhi
jo mujhko weeraan chor gayi
mann kehta hai woh aayegi
jeevan k kisi dohraaye pe


poocho mai bhi us se kyun
woh mujh ko tanha chor gayi
main jaanta hun woh bolegi
kon ho jo yun kehte ho
koi jaan nahi pehchaan nahi


phir kyun mujh pe yun marte ho
khaamosh sa mai ho jaunga
phir kuch bhi keh na paaunga
yeh aakhir mai ne kya kiya
kyun khud ko chaknaa choor kiya...

Ik andekhi si larki ne
Kuch Yun dil ko mehsur kiya....................

~*~                ~*~                      ~*~

Tere saath main jiyunga
Tere saath main marunga


Tere jism-o-jaan mei dhal k
Tere aansu ko pi k
Tere Saare gham bhula k
Tera aaj main banunga


Tu phir se muskuraa k
Is zindagi ko jee le
Sajde mei sar gira k
Ye dua main karunga


Koi gham ki baat aaye
Tujh pe jo khizaan chaaye
Tu kuch mehsoos na karna
Tera ehsaas main banunga


Agar kisi bhi lamhe
Tu khud ko tanha paaye
Bas mujhe yaad karna
Teri yaad main banunga


Tere saath main jiyunga
Tere saath main marunga..

~*~                 ~*~                     ~*~

ek bewafa se pyaar kerne ki saaza ye paayi hai
hum ne to tanha hi apni zindagi bitaayi hai


nazrein unhe dhoondti thi jab her gharri
woh aate thay nazar humein her kahin
aaj jahan bhi hum dekhte hain
her jaga bas tanhaayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai


aansuon mein hum apna dard chupa rahe hain
dil ko her tarha se hum mana rahe hain
her khushi hai door ab
gham ka khazaana umar bhar ki kamaayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai


woh to meri wafa ko kabhi samajh na paaye
hum toh unhe apne dil mein thay basaye
sheeshe ki tarha dil bikhar gaya
aur unke pyaar mein apni jaan gavayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai....

~*~              ~*~                        ~*~

jahan hum mile the
wahan hi tum aana
sang apne saare
khoye sapne lana
tinka tinka jo chuna tha
adhora hai wo aashiyana
poora kerne usko tum
ek baar laut aana
ek baar laut aana


sang mere ker rahi hai
intezar hawaon ki rawani
aasman bhi ker raha
hai duaaon ki roshni
milke jo likha hai
adhora hai wo afsaana
poora kerne usko tum
ek baar laut aana
ek baar laut aana


hum mile to phool khile
titliyon ne rang bhare
kho gaye patjhar ke mausam
kante bhi muskura pare
ab chaayi hai her soo udaasi
tum bin adhora hai her lamha suhana
poora kerne usko tum
ek baar laut aana
ek baar laut aana..

~*~              ~*~                       ~*~


Hawa-e-dard chali aur uski yaad aayi,
Lo phir se shaam dhali aur uski yaad aayi,


Kisi ne chupke se aakar hame yu thaam liya,
Nazar“ nazar se chali aur uski yaad aayi,


Zara se honth hile the ke ashq beh nikle,
Phir ek chup si lagi aur uski yaad aayi,


Kisi k paoon ki aahat se dil dhadakne laga,
Kisi ki zulf khuli aur uski yaad aayi,


Kisi ki baaton ki baarish mein hum bhi bheeg gaye,
Kisi ne baat na ki aur uski yaad aayi,


Phir uske zikar pe baadal umad umad aaye,
Ghata yun zor se barsi aur uski yaad aayi,


Ek ek sher par har chasham-e-aashna ne kaha,
Ghazal aap ki suni aur uski yaad aayi...!!!

~*~                 ~*~                    ~*~

Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.


Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.


Kyun baar baar woh satata hai -
Khuwaabon mein aakar rulata hai?


Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?


Woh mann mein har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.


Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.


Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?


Kitnay Saje Thay Sapnay Pyar key........
Kia Khabar Thee Yeh Zindagi hay Eak Raat Kii..

~*~           ~*~                        ~*~

Tumhari Yaad ka Badal Phir Chhaya Hai,
Ye Weham Hai Ke Teri Justaju Ka Saya Hai,


Har Ek Muqaam Mohabbat Ko Dekh Kar Aksar,
Mere Labo Pe Tumhara hi Naam Aaya Hai,


UsiKi Aankh Se Poocho Mazaj Mousam Ka,
Wo Ek Shaks Jo Sawan Ko Dekh Aaya Hai,


Shab-e-Faraq Mujhe Aur Etbaar Na De,
Ke Mai Ne Dil Ko Bahut Baar Azmaya Hai,


Khabar Nahi Ke Nageena Hai Ya Koi Moti,
Ye Ek Qatra Khoon Jo Palak Pe Aaya Hai,


Jo Zabt-e-Gum Tha SUFI Hosla MujhKo,
Tumhari Yaad Ne Aksar Mujhe Rulaya Hai..!!!

~*~                ~*~                    ~*~

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai


Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai


Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai


Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai


Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai


Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai..

~*~             ~*~                       ~*~

Ye Kya Haal Bana Liya He TumNe Apna?
Ab UsKa Bhi Ye Haal Ho Zaruri To Nahi,


Haari Hai TumNe Baazi Mohabbat Ki lekin,
Zindagi Ki Bhi Baazi Haar jao Ye Zaruri To nahi,


Us Pal Mohabbat Par Bahut Naaz Tha Tumko,
Ab Har Pal Ye Dohrao Ye Zaruri To Nahi,


Zinda Reh Kar Bhi Rasm-e-Mohabbat Ada Ho sakti Hai,
Ab Mar Kar Bhi Ye rasam Nibhao Ye Zaruri To nahi,


Kabhi Kisi Se Mohabbat na Karna aisi Nasihat Mat Diya Karna,
Jo Tere Sath hua Ho Wo mere sath Bhi HO Ye Zaruri To nahi,


Zindagi k Safar Mein Har Musafir khawaab Dekhta hai,
Ab Dost Tera Bhi Khuaab Pura Ho Ye Zaruri To Nahi..!!!

~*~         ~*~                          ~*~


KAHA USS NAY MUHABAT IK LAMHE KI BHOOL HOTI HAY
KAHA MEIN NAY YE TO IK HASEEN PHOOL HOTI HAY


KAHA USS NAY GUL BIKHARTA AUR TOOT JATA HAY
KAHA MEIN NAY NAM HATHON SAY KANCH CHOOT JATA HAY


KAHA USS NAY MUHABAT MEIN SADA RONA HI PADTA HAY
KAHA MEIN NAY K KUCH PANE KO KUCH KHONA BHI PADTA HAY


KAHA USS NAY K DARD MEIN DOOBE RAHNA ACHA NAHI HOTA
KAHA MEIN NAY KHUSHI MEIN GHAM KO BHOOLNA ACHA NAHI HOTA


KAHA USS NAY MUHABAT CHAR DIN KI CHANDANI HOTI HAY
KAHA MEIN NAY CHYPPI ISS MEIN KHUSHI KI RAGINI HOTI HAY


KAHA USS NAY MUHABAT KAB KISI KO RAAS AATI HAY
KAHA MEIN NAY YE TO JEENE KI AAS DILATI HAY


KAHA USS NAY BAHR E ISHQ MEIN SHAZ NAHI YUN DOOBNA ACHA
KAHA MEIN NAY K KINARE PAR SAY NAHI YUN LOTNA ACHA!!!

~*~             ~*~                        ~*~

Kaghaz per kuch phool bane thay jo tere honton jese thay
kuch lafzon k rang saje thay jo mere jazbon jese thee

shikwe thay kuch arman kuch beete dino ki yaadien thee
saare shikwe“saare arman mere sochon jese thay

accha waqt tu palak jhapakte ranj diye aur aur guzar gaya
kitne mahene aise beete gayae lamho jese thay

main bhi wakt ka qaidi tha yun bhi halat ki zindani
hum dono he apni apni jaga majboor parindo jese thay

waqt bhi kitna zalim hai kese rang dekhata hai
yaad aate hain woh be-gaane kabhi jo apney jese thay

milne ko sou baar mile per woh milna kia milna thaa
dil dharke apno ki tarha bichre tu gairon jese thay

haye woh din bhi kia din thay jab hum thay aur baharien theen
ab socho to yun lagta hai woh din khuaabon jese thay.

~*~         ~*~                       ~*~

Agar manzil nahi milti
to phir shoq safar kyun hai
bohat hi door ki awaaz mei
itna asar kyun hai

jo thak jaate hain yaadon se
to phir ghabra k kehte hain
yeh sach hai tu hi mere dil pe chaya hai
magar kyun hai

na jaane kis ki khuaahish mei
phira karte hain awaara
woh jiski ham khabar rakhte hain
woh hamse bekhabar kyun hai

hamare dil pe chaya hai
suhaani raat ka manzar
agar tum shab k saathi ho
to phir shab ki seher kyun hai

k ab to raakh kar daala hai
jism-o-jaan ko tu ne
magar is raakh mei SUFI
tumhe sholon ka darr kyun hai...

~*~             ~*~                        ~*~

Mera jazb-e-dil aazmaane lage hain
woh geron ko apna banane lage hain

musalsak pegham unke aane lage hain
haqaaiq bhi mujh ko fasane lage hain

museebat mei shikwa karein kya kisi ka
jo apne thay woh bhi begaane lage hain

chale aao duniya se darna hai kaisa
judaai k din ab rulaane lage hain

jabeen ne tere dar pe taskeen paayi
mohabbat k sajde thikane lage hain

kabhi is se pehle dukhaya nahi dil
najane woh kyun ab satane lage hain

chalo aaj ham bhi unhe aazmaayein
suna hai woh vaada nibhaane lage hain

raqeebon se kehdo sambhal kar woh bethein
naye shair SUFI sunane lage hain..

~*~             ~*~                        ~*~
 
JO TERE ISHQ MEI KHOYE TO PHIR PATA NA RAHA
ZAMANE BHAR SE MERA KOI WAASTA NA RAHA


BOHAT GEHRE MARASIM THAY DOSTO SE MERE
TUMHARE BAAD KISI SE KOI RAABTA NA RAHA


BOHAT THAY SHIKWE GILE TUMSE BEWAFAI K
DEKH KAR SAAMNE TUMKO KOI GILA NA RAHA


JUNOON CHARHA TO IS TARHA ISHQ KA TERE
KOI HUDOOD PHIR KOI ZAABTA NA RAHA


LAGI JO AAG TO IS TARHA PHELI
PHIR BACH NIKALNE KA KOI RAASTA NA RAHA..

~*~            ~*~                        ~*~

Main nafraton ki gird mei dhansta chala gaya
najaane kidhar pyaar ka raaasta chala gaya

ik chaand chura laaya tha main unki jabeen se
woh misr k bazaar mei sasta chala gaya

ik hurf tamanna na bana apna muaqaddar
ik sheher aarzuon ka basta chala gaya

aankho se dil ki pyaas bujhaane k bahane
woh chahaton ki aar mei dasta chala gaya

woh daag-e-mohabbat jo mila unke karam se
woh khoon-e-dil jo zakhm se rusta chala gaya

hai pyaar ik fareb yeh SUFI ne di sada
har shakhs iski baat pe hansta chala gaya..

~*~                ~*~                     ~*~

Mera to raabta ese jura hai shaam k saath
k jaise naam hai mera tere naam k saath


isi liye main wahan par dikhai deta hun
k nisbatein hi kuch aisi hain meri jaam k saath


karun hun rashk main is chandni ki qismat par
tamaam raat jo rehti hai is k baam k saath


koi rakhe jo hadein darmiyaan to rakhta rahe
mile koi to miloon main ehtiraam k saath


mere wajood mei chingaariaan si jalti hain
jo doobta hai yeh sooraj kisi k naam k saath..

~*~           ~*~                         ~*~

Mile dhoke mujhe is bewafa k
k paya tha jisey sab kuch ganwa k


badi mushkil se aaye thay woh milne
hue wapis woh darwaaze par aa k


dubona tha dubo dete bhanwar mei
duboya kyun mujhe saahil pe la k


gale mei daal kar laasho ki mala
liye phirte hain sarko pe saja k


bhari mehfil to geron se bhari thi
woh sharminda hue mujhko bula k


bana paaye na khushiyon ki imaarat
banaye thay hamne bhi khaake


rahegi dosti yeh umr saari
khule rakhe hain darwaaze dia k


garibon ko bhi de do kuch ameeron
karoge kya khazaano ko chupa k


banaya tha bade armaan se ghar ko
kiya barbaad apno ne jala k


kabhi apni na soorat phir dikhana
mujhe kehte hain apne ghar bula k


teh dasti ka aaya jab zamana
gaye mere sabhi aankhein chura k


kahan munsif kahan insaan SUFI
kiya ruswa unho ne gali koochon mei laa k..

~*~                   ~*~              ~*~

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga !

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !

~*~           ~*~                          ~*~

Qatra qatra ras raha hai khoon mere jigar ka
rafta rafta har rahi hai zeest meri be nishaan


qatra qatra gir rahe hain ashk meri aankh se
rafta rafta ho raha hun main jahaan se badgumaan


qatra qatra zeher ghukta ja raha hai khooon mei
rafta rafta hat raha hai sar se mere aasmaan


qatra qatra rooh nikalti ja rahi hai jism se
rafta rafta zakhm hote ja rahe hain meherbaan


qatra qatra khatam hoti ja rahi hai zindagi
rafta rafta tinka tinka ho raha hai aashiyaan..

~*~                   ~*~               ~*~

WOH DEKHO CHAAND NIKLA HAI
SITAAREY JAGMAGAAYE HAIN
HAMARI MUNTAZIR AANKHEIN
DUAAYEIN MAANGTI AANKHEIN
TUMHE HI SOCHTI AANKHEIN
TUMHE HI DHOONDTI AAANKHEIN
TUMHE WAPIS BULAATI HAIN
YEH DIL JAB BHI DHARAKTA HAI
TUMHARA NAAM LETA HAI
YEH AANSU JAB BHI BEHTE HAIN
TUMHARE DUKH MEI BEHTE HAIN
KE BAARISH JAB BHI HOTI HAI
TUMHE HI YAAD KARTE HAIN
KHUSHI JO BHI AAYE BHI
TUMHARE BIN ADHURI HAI


SUNO TUM LOT AANA
SUNO TUM LOT AANA


SHAAM HONE SE PEHLE LOT AANA
KISI K NAAM HONE SE PEHLE LOT AANA
HAM TERE INTEZAAR MEI HAIN
ANJAAN HONE SE PEHLE LOT AANA
SUBHA SHAAAM REHTI HAI TERE DEEDAR KI UMMEED
DIN TAMAAM HONE SE PEHLE LOT AANA
AGAR NA LOT PAO
TO BAS ITNA KAR DENA
KHATAM YEH SAANS HONE SE PEHLE LOT AANA


SUNO TUM LOT AANA
SUNO TUM LOT AANAA..

~*~                  ~*~                 ~*~
Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jaaata
woh shakhs koi faisla kar bhi nahi paata

aankhein hain k khaali nahi rehti lahu se
aur zakhm-e-judaai hai k bhar bhi nahi jaata

woh rahat jaan hai magar is darbadri mei
aisa hai k ab dhiyaan idhar bhi nahi jaata

ham dohri azziat k giriftaar musaafir
paaon bhi hai shal shoq safar bhi nahi jaata

dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai
aur tujh se bichar jaane ka darr bhi nahi jaata

paagal hue jaate ho SUFI is mei kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jaata..

~*~                ~*~                  ~*~

Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hai
agar har baato par uski naam aata hai

agar isey pyaar kehte hain to haan
main ne bhi kisi se pyaar kiya tha..

agar kisi ke intezaar karne mein samay nahin dekhte
agar uske aane par dil jhoom uthta hai

agar isey pyaar kehte hain to haan
main ne bhi kisi se pyar kiya tha..

agar kisi ke door jane ke baad unki yaad satati hai
agar sab ke saath rehte hue bhi akela mehsoos karte hain

agar isey pyaar kehte hain to haan
main ne bhi kisi se pyaar kiya tha..

~*~              ~*~                      ~*~

Jo Imtehaan Hum se Leti Hai Zindagi
Uska Sila Bhi Humko Deti Hai Zindagi


To Zindagi Se Kyon Kar Shikwa Karein
Jeetne Pe Jiska HaQ Hai Woh Deti Hai Zindagi


Har raat ke baad savera hota hi hai
Thokar lagne se rasta dikhati hai zindagi


Rone se bigra mukaddar kabhi banta nahi hai
Num aankhon ko hi hasna sikhati hai zindagi


Kabhi mile umeed se barhkar to kabhi kuch haath na aaye
Iraadey ho jinke buland ussi ko manzil dikhati hai zindagi


Zindagi hai aik aisi kitaab jisey koi samajh na paaya
Jab chahe jise chahe SUFI apna banati hai zindagi..

~*~                 ~*~                ~*~

Kuch to yeh zakhm-e-jigar rone se bhar jaega
kuch tera aks mere dil mei nikhar jaega


aur to kuch nahi hoga tere jaane se
bas meri zindagi ka sheerazah bikhar jaega


dooriyan qurb ka imkaan ghata deti hain
aankh se door na ho dil se utar jaega


dil nadi pyaar ki hai aa ke naha le is mei
rang tera bhi mere jaisa nikhar jaega


tu ne moonh mor lia to ay meri jaan-e-ghazal
tera shayir tera mehzob to mar jaega


usko paana hai to sar dhar ki lagao baazi
ye ishq ka khel hai is khel mei sar jaega


zindagi us ke hi qadmo mei bita de SUFI
uski zulfon se riha ho k kidhar jaega..

~*~      ~*~                     ~*~

EK SAMANDAR HAI K MERE MUQABIL HAI
EK QATRA HAI K MUJH SE SAMBHALA NAHI JAATA
EK UMR HAI K BITAANI HAI TERE BAGAIR
EK LAMHA HAI K MUJH SE GUZARA NAHI JAATA..

~*~                ~*~                   ~*~


Kya khabar thi k woh

achanak hi juda ho jaega

aik usay hi to chaha tha mai ne

apni zaat se barh kar

aur yeh socha na tha k woh

mere liye aik saza ho jaaega

mai na poochonga kabhi

chorne ka sabab

mere yeh poochne se

shayad woh khafa ho jaaega

har waqt na sahi

chand lamhe to woh mujhe yaad karega

bas isi bahane meri mohabbat ka haq ada ho jaaega..

~*~           ~*~                        ~*~

Jo mushkil aasan banate hain
Jo dushman ko girate hain
Jo hunste aur hunsate hain
Un ko bhala kia kehte hain?
Un hi ko dost kehte hain

Jo jeet ki khushi manate hain
Jo haar main sath bitate hain
Jo phir bhi kahan jatate hain
Un ko bhala kia kehte hain?
Unhi ko dost kehte hain

Jo hote hain khazane humare liay
Jo hote hain sahare humare liay
Jo pyar dete hain pyar lene k liay
Un ko bhala kia kehte hain?
Inhi ko dost kehte hain

Jin ki qeemat pata chalti hai bhichrne k bad
Nahi khareeda ja sakta un ko paise se yaar
Yeh hain humare liay KHUDA ka pyar
In ko bhala kia kehte hain?
Inhi ko dost kehte hain....

~*~               ~*~                      ~*~
 
Dil Ki Halat Pay Agar Parda Bhi Daalay Koi
Dil Yeh Chahay K Wohi Baat Uchalay Koi

Apni Baaton Say Kahin Rah Nikalay Koi
Aur Lafzoon Ko Hi Dewaar Bana Lay Koi

Inti Mushkil Bhi Nahi Hoon K Kabhi Hath Na Aaon
Itni Asaan Bhi Nahin Hoon K Uthalay Koi

Zindagi Aisey Basar Ab Nahi Hoti Hum say
Apnay Zindaa Tamanna Say Nikalay Koi

Phornay Attay Hain Sab Dil K Phapholay Lekin
Baantnay Aya Nahi Paoon K Chalay Koi

Itna Aaloda Hua Jata Hay Mahool sara
Sakht Mushkil Hai K Daman Ko Bacha Le Koi..

~*~                   ~*~                   ~*~

KHUBSOORAT !!

khobsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain
khobsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de
khobsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey
khobsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khobsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney
khobsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khobsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khobsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein
khobsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khobsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!
khobsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey
khobsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khobsoorti ata ki.

~*~                       ~*~                          ~*~
Meri zindagi ki kitaab tu
mere har sawaal ka jawaab tu

main tujhe parhunga tamaam umr
meri hayaat ka nisaab tu

meri har dua tere liye
meri ibadaton ka sawaab tu

mai sara din tujh mei magan
meri har raat ka khuaab tu

likhun aur kya main teri zaat par
meri zindagi ka rubaab tu...

~*~                   ~*~               ~*~

ab yahi karo ge na!hm se milo ge nahi
jo baat kehta hai dil,suno ge nahi


mere anjan kotahion ki saza yu do ge mujhe
ban k pather kaho ge "kuch hoa hi nahi"


hr dost se mila karte ho hr roz tm
hm bulain ge tu kaho ge "fursat hi nahi"


go k baat nahi hai purani phir bhi
jane ab tmhe yaad ho bhi k nahi


tmhe yaad hai jb tm ne kaha tha hm se
"tm badal jao ge pr hm kabhi badlein ge nahi"


tm tu kehte ho kuch bhi nahi badla hai abhi
kia pehle bhi aisa hoa karta tha kabhi?


roz milty thy pr fone bhi zarori tha
ab tu arsa hoa tmhe dekha bhi nahi


ab nahi mangte tm se tmhara sath magar
baat be baat yaad aate ho kyun,maloom nahi


hadse zindagi hain pr ye saaneha sa lagta hai
tm badal jao ge hm ne ye socha tha nahi..

~*~                ~*~                   ~*~

Najaane kis qadar majboor rakha
hamein nazron se apni door rakha


hamare saamne la kar kisi ko
zamane ka naya dastoor rakha


mere aangan mei dukh bikhre hue thay
magar dil ko bohat masroor rakha


chiraag-e-dil jalata aa raha hun
na apna ghar kabhi benoor rakha


saja kar apne chehre par hamesha
wohi ik kissa mansoor rakha


khata SUFI na jaane ho gayi kya
hamein us ne bohat ranjoor rakha..

~*~                   ~*~                   ~*~

bachpan k dukh bhi kitne ache hua karte thay
tab to sirf khilone toota karte thay

woh khushiyaan bhi najaane kaisi khushiyaan thi
tittli ko pakkar kar uchla karte thay

paaon maar kar khud baarish k paani mei
apne aap bhigoya karte thay

ab to ek aansu bhi ruswaa kar jaata hai
bachpan mei to dil khol k roya karte thay..

~*~                  ~*~                     ~*~

main apne honto par tujhe sajana chahta hun
aa tujhe main gungunana chahta hun


koi aansu tere daaman par gira kar
boond ko moti banana chahta hun


barh gayi is had tak be aitemaadi
tujh ko tujhse bhi chupana chahta hun


thak gaya mai karte karte yaad tujh ko
ab tujh mei yaad aana chahta hun


jo bana baaiss meri nakamio ka
mai usi k kaam aana chahta hun


phool se pekar to nikle be murawwat
ab mai patharon ko aazmaana chahta hun


reh gayi thi kuch kami ruswaaiyon mei
phir SUFI us dar pe jaana chahta hun..

~*~                   ~*~                      ~*~

Woh bhi begaana hua hai jo kabhi apna na tha
sheher mei pehle kabhi tu is tarha tanha na tha


mai to jis ghar gaya mai ne to yehi dekha wahan
ghar ka ghar veeraan hai chehra koi hasta na tha


tishnagi k dasht mei veeraaniyaan hai is liye
dasht se guzra magar baadal kabhi barsa na tha


din mei bhi ab mehfilon mei shab ka sannata hua
ronaqo mei sheher ki pehle yeh sannata na tha


kyun taajjub kar rahe hain muftiyaan-e-zindagi
kon sa zulm-o-sitam pehle yahan hota na tha


hamsafar se baat kar k ehtiaat dekh li
baat to karta tha lekin baat woh karta na tha


aansuon ki bhi gawahi ho gayi na moatabar
aankh se rota tha SUFI dil se to rota na tha..

~*~                      ~*~                        ~*~

wafa mei ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
woh sach kahe na kahe aitebaar karna hai


yeh tujh ko jaagte rehne ka shoq kab se hua
mujhe to kher tera intezaar karna hai


hawa ki zad mei jalate hain aansuo k chiraag
kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai


woh muskura k naye waswason mei daal gayi
khayal tha k usay sharmsaar karna hai


tere faraaq mei din kis tarha kate apne
k shugal shab to sitare shumaar karna hai


chalo yeh ashk hi moti samajh k baich aayein
kisi tarha to hamein rozgaar karna hai


kabhi to dil mei chupe zakhm bhi numayaan hon
quba samajh k yeh din taar taar karna hai


khuda khabar yeh koi zid k shoq hai SUFI
ab khud apni hi jaan k dushman se pyaar karna hai..

~*~                   ~*~                   ~*~

Haadsay Kya Kya Tumhari Be Rukhi Se Ho Gaye
Sari Dunya K liye Hum Ajnabi Say Ho Gaye


Kuch Tumharay Gesouon Nay Bharam Aysa Kiya
Kuch Andhere Mere Ghar Mai Roshnii Se Ho Gaye


Banda Parwar ! Khul Gaya Hai Aastano Ka Bharam
Aashna Kuch Log Raz-e-Bandagi Se Ho Gaye


Gardish-e-Doran Zamanay Ki Nazar Ankhon Ki Nend
Kitne Dushman Aik Rasam Dosti Se Ho Gaye


Zindagi Aagha Thi Siyat Ki Taddbeer Say
Hum Sharmina Kal Apni Khushi Se Ho Gaye


Aab Kahan Ay Dost Chashmay Muntazir ki Aabroo
Aab Tou In Ke Aehdo Payma Har Kisi Se Ho Gaye


Har Kadam SUFI Nazar Aanay Lagii Hain Manzilen
Marhalay Kuch Tay Meri Aawargi Se Ho Gaye..

~*~               ~*~                       ~*~

arz e niyaz ishq ke qabil nahin raha..
jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha..


jata dag e hasrat e hasti liye hui..
hon shamae kushtah..der khor e mahfil nahin rha..


merne ki ai dil..aur hi tadbeer ker ke main..
shayane dast-o-bazu e qatil nahin raha..


ba roo e shish jihat dar e aienaa baz hai..
yan imtiyaz e naqis-o-kamil nahin raha..


wa ker diye hain shauq ne bund e neqab e hussn..
gair az nigah..ab koi haayel nahin raha..


go main raha raheeney sitam hay e rozgar..
laikin tere khayal se gafil nahin raha..


dil se hawa ki kisht e wafa mit gayee waan..
hasil seway hasratey hasil nahin raha..


baidade ishq se nahin darta magar SUFI..
jis dil pe naaz tha mujhe who dil nahi raha..!!

~*~                       ~*~                            ~*~

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon

Tum Yaad Aatey Ho.....

Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon

To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai....

Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon

To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain...

Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo

To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day

Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon

To Tumharey Labb Yaad aaye......

Jab Kabhi Barstey Badal dekhon

To Tumhari Yaad Main Doobi...Woh Shaam Yaad aaye

Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon

To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad aaye

Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko dekhon

To Tumhari piyasi Ankhin Yaad Aaye

Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon

To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye

Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon

To Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye

Jab Kabhi......

~*~                     ~*~                          ~*~

Tery naam ki thi jo roshni usy khud hi too ny bujha diya
Na jala saki jisy dhoop bhi usy chandni ny jala diya


Main hon gerdishoo mei ghira hwa mujhy aap apni khaber nahi
Wo jo shakas tha mera rehnumaa usy rastoo ma gunwa diya


Jo teri nazer mei ajeeb tha wohi shakas tera habib tha
Tery hath ki wo lakeer tha usy hath sy hi mita diya


Mujhy ishq hai k junoon hai abhi faisla nahi ho saka
Mera naam zeenat.i.dasht tha mujhy andhiyoo ny mita diya


Ye udasiyoo ka jamal hai k hamara oooj.e.kamal hai
Kabhi zat sy bhi chupa liya kabhi sher bher ko bata dia


Mery mausumoo’ meri umer ka abhi pora bagh khila na tha
Wo jo phool thy teri chah k unhien zard rut ny gira diya..

~*~                       ~*~                       ~*~

WOH chahta tha phir bhi koi Guftago na ki
Main nay bhi poochnay ki Justojoo na ki


Tasveer teri dekh kar Ankheein Chaalkh parein
Hum nay teri Ibadaat kabhi bay-Wuzu na ki


Baithay rahay chup chap Hum pardah nasheen k paas
MUSA ki tarahan dekhnay ki Arzoo na ki


WOH hay Nasha-e-ISHQ ki lazat say Bay Khabar
Jis nay ye Zindagi kabhi Nazar-e-Sobo na ki


Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
ud nay kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo na ki


DIL mein chuppaye rakhay hain Hum nay Raaz-e-ISHQ
Ahel-e-Janoon ki baat kabhi Koo-ba-Koo na ki..

~*~                      ~*~                      ~*~

pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii
mere haalat kii aa.ndhii me.n bikhar jaogii
pyaar mujhse jo kiyaa tumane to kyaa paaogii


ranj aur dard kii bastii kaa main baashindaa hun
ye to bas main hun ke is haal mein bhii zindaa hun
khvaab kyuu.n dekhun vo kal jisape main sharmindaa hun
main jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii
pyaar mujhse jo kiyaa ...


kyUn mere saath koi aur pareshaan rahe
merii duniyaa hai jo vIraan to vIraan rahe
zindagii kaa ye safar tumako to aasaan rahe
hamasafar mujhako banaogii to pachhataaogii
pyaar mujhse jo kiyaa ...


ek main kyaa abhii aayenge dIvaane kitne
abhii gunjenge muhabbat ke taraane kitne
zindagii tumako sunaayegii fasaane kitne
kyUn samajhatii ho mujhe bhuul nahii paaogii
pyaar mujhse jo kiyaa ...

~*~                     ~*~                       ~*~

In pyaar ki andhi raaho mei
kaise kaise nadaan lute
ghar baar ka lutna kya maaini
yahan saanson k samaan lute


taqdeer ki likhi takhti pe
ham rote hain kambakhti par
woh waqt tha in k joban ka
jab is dil k armaan lute


kis jins mei itni taaqat hai
jo loote in insaano ko
insaan ko loota insaan ne
yunhi to nahi insaan lute


kya is se aur bada hoga
halaat ka zalim andhapan
halaat k hathon dekho to
do din k bhi mehmaan lute


logon k dil mei mar k bhi
jo zinda hai woh zinda hai
maut asal mei uski hai
jiski har pehchaan lute..

~*~                        ~*~                      ~*~

Marhale ishq k dushwaar nazar aane lage
door ho jaane k aasaar nazar aane lage


saare chehron pe mohabbat hi mohabbat dekhi
dil mei jab jhaanka to phir khaar nazar aane lage


ehad yaaro ne kiya saath nibhaane ka
waqt aaya to woh bezaar nazar aane lage


gham hi kuch aisa mila dil ne bahaye aansu
ab dilaase sabhi bekaar nazar aane lage


is mohabbat mei SUFI tajmahal ki soorat
jis taraf dekhiye shahkaar nazar aane lage..

~*~                    ~*~                       ~*~

kuch khud bhi thay afsurda se
kuch tum bhi hamse rooth gaye

kuch khud di zakhm k aadee thay
kuch sheeshay haath se chhoot gaye

kuch khud bhi thay hassaas bohat
kuch apne muqaddar rooth gaye

kuch tumko sach se nafrat thi
kuch hamse na bole jhoot gaye

kuch logon ne uksaya tumhe
kuch apne muqaddar phhooot gaye

kuch khud itne mohtaat na thay
kuch log bhi hamko looot gaye

kuch talkh haqaiq thay itne
k khuaab hi saaare toot gaye..

~*~                        ~*~                        ~*~

mil gaya hai mujhe aashna kher se
ho gaya hai mera raabta kher se

sheher mei har jagah har gali kubaku
ho raha hai mera tazkara kher se

aaj phir puchne aagayi bebasi
kya mila dosti ka sila kher se

tu bata de mujhe tu suna de mujhe
kar lia hai agar faisla kher se

tu meri jo gali tak na aa saki
main tere ghar tak aagaya kher se

lo sufi aaj woh dhoondti hai tujhe
kal jisey shoq tha gair ka kher se..

~*~             ~*~                     ~*~

Main lafzo mei kuch bhi izhaar nahi karta
iska matlab yeh nahi k mai tujhse pyaar nahi karta


chahta hun mai tujhe aaj bhi
par teri soch mei apna waqt bekaar nahi karta


tamaasha ban na jaaye kahin mohabbat meri
isi liye pane dard ko namudaar nahi karta


jo kuch mila hai isi mei khush hun
tere liye khuda se takraar nahi karta


par kuch to baat hai teri fitrat mei
warna mai tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta..

~*~                     ~*~                     ~*~

Is dil ne tere baad mohabbat bhi nahi ki
hud yeh k dharakne ki jisaarat bhi nahi ki


taabeer ka aizaaz hua hai isey haasil
jis ne mere khuaabon mei shirkat bhi nahi ki


ulfat to badi baat hai hamse sar-e-sheher
logon ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi ki


aadaab-e-safar ab woh sikhaate haib jinho ne
do chaar qadam pe yeh musafat bhi nahi ki


kya apni safaayi mei bayaan dete k hamne
nakarda gunaahi ki wazahat bhi nahi ki


us ghar k sabhi log mujhe chorne aaye
dehleez tak usne yeh zehmat bhi nahi ki


usne bhi ghulaamon ki safon mei hamein rakha
is dil pe kabhu jisne hukumat bhi nahi ki.

~*~                    ~*~                     ~*~

musafir kay rastay badaltay rahay
muqaddar may chalna tha chaltay rahay

koi phool sa haath kaandhe pay tha
meray paoon sholoon pay chltay rahay

meray raastay may ujala raha
diye us ki aankhon k jaltay rahay

woh kiya tha jisay ham nay thukra diya
magar umr bhar haath maltay rahay

muhabbat,adaawat,wafa,berukhi
kiraye k ghar thay badaltay rahay

suna hai unhay bhi hawa lag gaye
hawaoon k jo rukh badaltay rahay

lipat k chiragoon say woh so gaye
jo pholoon pay karvat badaltay rahay...

~*~                      ~*~                             ~*~

Main aiyna tha, woh mera khayal rakhti thi

Main tootta tha to chun kar sambhal rakhti thi

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi

Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha

Woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha

Bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni pooron say

Woh mere waste khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobnr nahi daiti thi dukh k dariya mein

Mere wajood ki naow uchaal rakhti thi

Duain us ki balaon ko rok laiti thi

Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhun k nahi phir kabhi main ne suni

Woh munfarid sa hansi mein kamal rakhti thi..

~*~                             ~*~                         ~*~

yeh bhi mujh per ehsaan kia hay tum nay
hamsafar gham jo mohabbat may dia hay tum nay


jab bhi takraiyee mere jism se yeh shokh hawa
mujh ko mehsoos hooa yeh keh chooa hay tum nay


aik muddat say issi din ki thi hasrat dil may
aaj main khush hoon keh deewana kaha hay tum nay


kia meray dil ki dharakhnay ki hi awaz hay yeh
ya yeh phir kaan may kuch aa ke kaha hay tum nay


hichkiyaan bhi to kambakht nahi aati hain
jo yeh sochoon keh mujhay yaad kia hay tum nay..

~*~                              ~*~                                    ~*~

Tasveer banata hoon, Tasveer nahi banti,
Ek Khawaab sa dekha hai, Taabeer nahi banti,


BeDard Mohabbat ka itna sa hai Afsaana,
Nazron se mili Nazrein wo ho gaya Deewana,
Ab Dil ke Behlane ki Tadbeer nahi banti,


Dam bhar ke liye Meri Duniya mein chale aao,
Tarsi hui Aankho ko phir Chehra dikha jao,
Mujhse to Bigdi hui Takdeer nahi banti,


Tasveer banata hoon, Tasveer nahi banti,
Ek Khawaab sa dekha hai, Taabeer nahi banti..!!!

~*~                            ~*~                              ~*~

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,

Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan FIDA Ajeeb si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai ....

~*~                            ~*~                    ~*~

Tere bin bata Main kese ye Zindagi Jee paunga?
Dharkan hain Tu Mere Dil ki Tujh bin Mar jaunga



Khushi Meri Chheen ke kehti ho Hamesha Hasna
Ek wajah bata de ab kis lye Mai Muskuraunga?



Kehte hain Log Mujh ko k Zindagi ek Jannat si hai
Tujh bin ye Jahannum hai her bar ye Dohraunga



Mat Chhor Muje Tanha Tujhe apne Pyaar ki Qasam
Akele hi zindagi ka Bojh bata kese Main Uthaunga?



Thora Yaqeen ker Mera aur Thora Mujh per Aitbaar ker
Saath Tera hoga to Yaqeenan is Dunya ko Haraunga



Sirf Ashqon se Mere ab jalta hai Diya Chirag ka
Tu agar Juda hogai to Aansoo mai sabko Bahaunga



Chaand hai Tu Mera Tu ne Zindagi ko Roshni di hai
agar tu kehti hai to Tujh bin Andheron mei Gum ho jaunga..

~*~                            ~*~                           ~*~

Uss Se Juda Yun Hokar, Mujhe Aisa Lag Raha Hai
Din Ho Ya Ghana Andhera, Ik Jaisa Lag Raha Hai


Mein Kiski Wafa Ko Samjhoon, Kise Zindagi Mein Laoon
Har Koi Hai Bewafa Sa, Mujhe Aisa Lag Raha Hai


Ab Shayad Kabhi Na Kholoon, Dil Ke Nagar Ko Apne
Dil Shayad Phir Ye Toote,Mujhe Aisa Lag Raha Hai


Uss Se Na mil Saka Hoon, Kuch Aisa Hi Hai Aalam
Dil Dharkanon Se Apni, Jaise Alag Raha Hai


Itna Pyar Karne Wala, Kya Uss Ko Mil Sakega?
Us Ne Paa Ke Sab Ganwaya,Ab Aisa Lag Raha Hai


Sehra Bhi Doob Jaye, Darr Hai Nikal Na Jaaye
Ankhon Mein Mera Aansoo, Aisa Chalak Raha Hai


Jab Bhi Kabhi Ho Barish, To Itna Jaan Lena
Dil Kisi Ka Hai Toota, Aur Ro Falaq Raha Hai


Ab `SUFI` Tu Bhi Sun Le, Kyun Itni Na-samjh Hai Woh
Manzil Tak Saath Ho Jo, Kaun Tab Tak Chala Hai...

~*~                     ~*~                         ~*~

HUM APNE GHUM KO SAJA KAR BAHAAR KAR LENGE

TERE KHAYALON KO THORA SA PYAR KAR LENGE

MOHABBATON KI KAHAANI TUJHE SUNAYEN GE

HAWA CHALE GI TO AANCHAL KI YAAD AAYE GI

GHATA UTHE GI TO KAAJAL KI YAAD AAYE GI

TERE HASEEN TASAWWUR KO PYAR KAR LENGE

YUN YAAD HUM BHI TUJHE BAAR BAAR KAR LENGE

JO PYAR KARTE HAIN WOH IN GHAMON KO SEHTE HAIN

MOHABBATON ME TOOFAAN AATE HI REHTE HAIN

TUMHAARE NAAM KO DHARKAN K SAATH RAKH LENGE

TUMHAARE CHEHRE KO DARPAN K SAATH RAKH LEN GE

YEH DOORIYON KA SAMANDAR BHI PAAR KAR LEN GE

TAMAAM UMR TERA INTEZAAR KAR LENGE.

~*~                            ~*~                              ~*~

Tumse milkar kisi se mila na gaya
Is jahan mai koi tumsa nahi tou kya karun


Tamaam raat taare ginti hain aankhein
In mai neend na samaye tou kya karun


Har ghadi sunta hoon tere kadmon ki aahat
Palat kar dekhne par kuch na paoon tou kya karun


Voh sangdil gairon par karam karti hai
fir bhi uspar hi pyar aaye tou kya karun


Aankhon ki nami ko chupa ker jeene ki aadat hai hume
Sawan mai barish sang ashq bah gaye tou kya karun


Kab tak sahna hoga aey khuda jeene ka gum
Na unki khabar aaye na jaan jaye tou kya karun.

~*~                               ~*~                               ~*~

is raat ki tanhaiyon ke sab rang badal gaye hai...
Chaand nikla hai waise hi, andhere roshni main badal gaye hai...

Jis k bharose thi khushiyan, wo baadal thehar gaye hai...
Manzilein to ab bhi wahi hai, Kuch raste badal gaye hai...

Jin par kiya tha yakeen, wo dost bichhar gaye hai...
Jo bane the kabhi humsafar, wo aaj mukar gaye hai...

Khuaish to aaj bhi hai, Lekin jazbaat badal gaye hai...
Tute huy dil ke saare armaan badal gaye hai...

Na badle the kabhi hum, na badle hai humare khyalat...
Bas gum hai to sirf isaka ki, kuchh log badal gaye hai...

~*~                            ~*~                           ~*~

Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhti hai satanay k liye



MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye


In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye


Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khela tha aag se jal janay k liye


Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye..

~*~                          ~*~                         ~*~

Jinhe dhoondte hain sapno mein

Woh haqeeqat mein nahi hai

Jo haqeeqat main hai saamne

Woh hamare sapno mein nahi hai


Jo Dil main hai hamare

Woh hamare qareeb nahi hai

Aur jo qareeb hai hamare

Woh hamare Dil mein nahi hai


Jis se Pyaar karte hain hum

Woh hamare baare mein sochta nahi hai

Jo sochte hain humaare baare mein

Un se Pyaar hum karte nahi hain


Hum jinka intezaar karte hain

Woh kabhi aate nahi hain

Aur jo aa jaate hain saamne

Unka intezaar hum karte nahi hain.

~*~                      ~*~                            ~*~

Dosti ko maat mat kar dosti k naam par,
Is tarah ki baat mat kar dosti k naam par


gar bharosa uth aya hai haath mera chhod de
talkh yuN jazbaat mat kar dosti k naam par


mujh pe pehle hi zamaane bhar k haiN ehsaaN bahut
aur ehsaanaat mat kar dosti k naam par


dosti se hi yakeeN apnaa na uth jaye kahiN
paida woh haalaat mat kar dosti k naam par


mujhse koi baat kar khoti khari achhi buri
haaN magar kuchh baat mat kar dosti k naam par


dosti ehsaas hai ehsaas rehne de usey
behas yuN din raat mat kar dosti k naam par..

~*~                          ~*~                         ~*~

Tu apne labon se chhu le,
To maiN jaam ban jauN,


Tu apne haathon se likhe,
To maiN ek naam ban jauN,


Tu apni aankhoN se pade,
To maiN paigaam ban jauN,


Tu agar kahaani gade,
To maiN anjaam ban jauN,


Tu agar dil maiN rakhe,
To tera mehmaan ban jauN,


Tu agar subah bane,
To main shaam ban jauN,


Tu khawahish to kar meri,
MaiN tera armaan ban jauN..!!

~*~                        ~*~                               ~*~

dekha tujh ko to pyar ki chahat si ho gai
ham ko har lamha khush rehne ki aadat si ho gai

pukara hai tujhko har maurdh par zindagi ke
tujh ko paane ki aarzoo me shiddat si ho gai

teri nkhoon me vo nasha hai ke kya kahoon
bin piye behak jaane ki aadat si ho gai

rehte the har lamha udas, har pal bechain ham
anay se tery hamain musarrat si ho gai

teri mann-mohni si soorat, khuda ka karishma hai
na dekh paaon gar jisse to qayaamat si ho gai

soocha na tha kabhi ishq bhi karon ga
ab mohabbat se mujhe bari mohabbat si ho gai...

~*~                             ~*~                         ~*~

Bohot kuch badal jata hai

Tere aane ke baad,

Bohot kuch bichar jata hai

Tere jaane ke baad,

Wo samandar ki leherey,

Wo rait ke mehal,

Bohot kuch beh jata hai

Saahil se takra jaane ke baad,

Wo baarish ke moti,

Wo taaro ki khuwahish,

Bohot kuch bikhar jata hai

Khuwaab toot jaane ke baad,

Wo teri parchaiyon se takrana,

Wo saayon ka lehrana

Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad.........

~*~                             ~*~                         ~*~

Kitni Mushkilon Se Usne Mujhe Bhulaya Hoga,
Meri Yaadon Ne Use Bhi Khoob Rulaya Hoga,


Baat Be Baat Aankh Uski Jo Chhalki Hogi,
Usne Chehre Ko Haathon Mein Chupaya Hoga,


Socha Hoga Usne Din Mein Kitni Baar Mujhe,
NaaM Hatheli Par Likh Likh Ke Mitaya Hoga,


Jahan Usne Mera Zikar Suna Hoga Kisise,
Uski Aankhon Mein Koi Aansu To Aaya Hoga,


Raat Ke Bheegne Tak Neend Na Aayi Hogi,
Usne Takiye Ko To Seene Se Lagaya Hoga,


HO Ke Majboor Meri Yaadon Se Usne Kabhi
Meri Tasveer Par Apna Sar Tikaya Hoga...

~*~                    ~*~                          ~*~

Tumhari Yaad ka Badal Phir Chhaya Hai,
Ye Weham Hai Ke Teri Justaju Ka Saya Hai,


Har Ek Muqaam Mohabbat Ko Dekh Kar Aksar,
Mere Labo Pe Tumhara hi Naam Aaya Hai,


UsiKi Aankh Se Poocho Mazaj Mousam Ka,
Wo Ek Shaks Jo Sawan Ko Dekh Aaya Hai,


Shab-e-Faraq Mujhe Aur Etbaar Na De,
Ke Mai Ne Dil Ko Bahut Baar Azmaya Hai,


Khabar Nahi Ke Nageena Hai Ya Koi Moti,
Ye Ek katra Khoon Jo Palak Pe Aaya Hai,


Jo Zabt-e-Gum Tha SUFI Hosla MujhKo,
Tumhari Yaad Ne Aksar Mujhe Rulaya Hai..!!!

~*~                                ~*~                          ~*~

Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.


Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.


Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?


Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?


Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.


Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.


Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?


Kitnay Saje Thay Sapnay Pyar key........
Kia Khabar Thee Yeh Zindagi hay Eak Raat Kii..

~*~                            ~*~                        ~*~

Kabhi subha hui pareshaan kabhi raat ro pari hai
mere bewatan musaafir ki har baat ro pari hai


kabhi jugnuon ki khuahish kabhi roshni se darna
is kashmakash mei aksar meri zaat ro pari hai


kabhi koi shaam aa ke meri aankho mei sama ja
mere rang ro pare hain barsaat ro pari hai


meri khuahisho ne mujhse zameen-o-aasmaan jo cheena
meri bebasi bhi royi meri maat bhi ro pari hai


chalo shukr hai k mil k ab royenge SUFI
meri badnaseebi ki siaah raat ro pari hai..

~*~                           ~*~                        ~*~

Chahat ki mehfil mein dil laga kar hum bhi dekhenge,
Teri rooh ko apna banakar hum bhi dekhenge,


Tum se jo kaha hai khawabo mein hum ne,
Use haqeekat mein bayan kar hum bhi dekhenge,


Jis fasane ko aankhon se khete rahe hai hum,
Unhi lafzo ko honto pe lakar hum bhi dekhenge,


Suna hai woh insaan hi kya jisne pyar na kiya ho,
Chupke se hi sahi dil na diya ho,


Pyar woh jazba hai jo pathar ko pigla de,
To hum bhi is pathar se dil laagkar dekhenge,


Zaroori nahi ki tum badle mein hame pyar karo,
Khudi-Khud ko tum par mitakar hum bhi dekhenge...

~*~                           ~*~                            ~*~

Karam is dil pe bas itna karo tum
meri jaanib yun na dekha karo tum

tasawur mera apne saath rakho
akele ghar se na nikla karo tum

ilaaj-e-gham to kar sakta hun lekin
maza to jab hai k acha karo tum

asar lo na kisi ki baat ka bhi
kabhi acha bura samjha karo tum

hamein parkho mohabbat ki nazar se
hamare saath na jhagra karo tum

hamare dil ki haalat dekhne par
jo dil mei aaye phir wesa karo tum

hijaab-e-husn to bekaar thehra
hamare saamne aaya karo tum

hamari chaal ka sab ko gumaan hai
kabhi aise bhi to guzra karo tum

tumhari soch bhi deti hai dhoka
na SUFI is qadar socha karo tum...

~*~                         ~*~                          ~*~

MERI AANKHEIN AMANAT RAKH LO
MUJHE KUCH KHUAB DE DO
JIS MEIN TUMHARI JHALAK HO
AISA SHARAAP DE DO
CHALO CHORO SAARI BAATEIN
EK BAAT MAAN JAO
MERI SAARI UMR LE LO
BAS EK PAL KA SAATH DE DO..

~*~                      ~*~                         ~*~

HAM NAZRON SE DOOR HAIN AANKHO SE NAHI
HAM KHUABON SE DOOR HAIN KHAYALON SE NAHI
HAM DIL SE DOOR HAIN DHARKAN SE NAHI
HAM AAP SE DOOR HAIN AAPKI YAADON SE NAHI..

~*~                           ~*~                            ~*~

WOH KARENGE YAAD GUZRE ZAMANE KO
TARSENGE HAMARE SAATH EK PAL BITANE KO
PHIR AWAAZ DENGE HAMEIN AANEY KO
HAM KAHENGE DARWAZA NAHI HAI KABAR SE BAHAR AANE KO..

~*~                         ~*~                            ~*~

HATHELI SAAMNE RAKHNA K SAB AANSU US MEI GIREIN
JO RUK JAEGA ANKHON PAR SAMAJH JANA K WOH HOON MAIN


KABHI JO CHAAND KO DEKHO TO TUM YUN MUSKURA DENA
JO CHAL JAYE HAWA THANDI TO AANKHEIN BAND KAR LENA


JO JHONKA TAIZ HO SAB SE
SAMAJH JANA K WOH HOON MAIN


JO ZIADA YAAD AAON MAIN TO TUM RO LENA JI BHAR K
AGAR HICHKI KOI AAYE SAMAJH JANA K WOH HOON MAIN


AGAR TUM BHOOLNA CHAHO MUJHE SHAYAD BHULA DO TUM
MAGAR JAB SAAANS LENA SAMAJH JANA K WOH HOON MAIN..

~*~                   ~*~                               ~*~

AISI HAWA CHALI K SAB HI PHOOL JAL GAYE
JAAAN SE AZEEZ LOG BHI KITNI JALDI BADAL GAYE
TERE BAGAIR JEENY KA KIS KO GUMAAN THA
HAM KHUD BHI SOCHTE HAIN K KAISE SAMBHAL GAYE..

~*~                        ~*~                         ~*~

MEHFIL SAJI THI JAAAM KA THA DAUR
JAAAM MEI KYA THA YEH KIS NE KIYA GAUR
JAAAM MEI LAHOO THA MERE ARMAANO KA
AUR SAB KEH RAHE THAY AIK AUR AIK AUR...

~*~                         ~*~                           ~*~

GHAM K SANJOG ACHE LAGTE HAIN
MUJHE MUSTAQIL ROG ACHE LAGTE HAIN
KOI WAADA WAFA KA NA KARNA YAARO
K MUJHE BEWAFA LOG ACHE LAGTE HAIN..

~*~                            ~*~                          ~*~

LIKHUN KUCH AAJ YEH WAQT KA TAKAAZA HAI
MERE DIL MEI DARD ABHI TAAZA HAIN
GIR PARTE HAIN ASHK MERE KAGHAZ PAR
KALAM MEI SIYAHI KAM AUR AANSU ZIYADA HAIN..

~*~                          ~*~                            ~ *~

DIL MEI HAR RAAZ DABA K RAKHTE HAIN
HONTO PE MUSKAAN SAJA K RAKHTE HAIN
YEH DUNIYA SIRF KHUSHI MEI SAATH DETI HAI
IS LIYE HAM APNE AANSU CHUPA K RAKHTE HAIN..

~*~                    ~*~                         ~*~

SAMANDAR MEI UTARTA HUN TO AANKHEIN BHEEG JATI HEIN
TERI AANKHO KO PARHTA HOON TO AANKHEIN BHEEG JATI HAIN


TUMHARA NAAAM LIKHNE KI IJAZAT CHHIN GAYI JAB SE
KOI BHI LAFZ LIKHTA HOON TO AANKHEIN BHEEG JAATI HAIN


NA JAANEY HO GAYA HOOON IS KADAR HASSAAS MEI KAB SE
KISI SE BAAT KARTA HOON TO AANKHEIN BHEEG JAATI HAIN


WOH SAB GUZRE HUE LAMHAAT MUJH KO YAAD AATE HAIN
TUMHARE KHHAT JO PARHTA HOON TO AANKHEIN BHEEG JAATI HAIN


TERE KOOOCHEY SE MERA TAALLUQ AB WAJABI SA HAI
MAGAR JAB BHI GUZARTA HOOON TO AANKHEIN BHEEG JAATI HAIN


HAZARON MAUSAMON KI HUKMARANI HAI MERE DIL PAR
MERI JAAAAN MAIN JAB BHI HASTA HOOON TO AANKHEIN BHEEG JAAATI HAIN...

~*~                             ~*~                                ~*~

AANSU JO BEH RAHE HAIN BEHNE DO
YEH KEH RAHE HAIN DIL KI BAAT...KEHNE DO


BOHAT PYARE HO TUM
YEH HAM KO HAI MALOOM
TUM APNI ACHAI KI BAAT APNE TAK HI REHNE DO


SUKH HI SUKH MILA TUMHE CHAHNE K BAAD
BAS THORA GHAM HAI HAMARE PAAS REHNE DO


TUM NE TO KEH DALA SAB HAAL-E-DIL APNA
AB MUJH KO APNI DAASTAAN BHI KEHNE DO


MAR GAYE AURON K LIYE HAM SANAM
TUM APNI KHATIR HAM KO ZINDA REHNE DO...

~*~                               ~*~                          ~*~

TAALLUK BAAD MEI TABDEEL HO KAR JO BHI REH JAAYE
MOHABBAT SE WOH PEHLA MUSKURANA YAAD REHTA HAI
KISI KI LAAKH BAATEIN PAL MEI KAISE BHOOL JAATE HAIN
KISI KA AIK JUMLA NHI PURANA YAAD REHTA HAI..

~*~                           ~*~                             ~*~

Site Admin:
 Muhammad Zuhair Nasir Bhiriya