Memon's Shayari World

Zuhair's Collection

Home
Dua Shyari
Zain's Collection
Sufi's Collection
Zuhair's Collection
Best Naats Videos
New Collection 2011
Contact Us
Urdu Poetry SMS

Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai,
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai,
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh,
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

Jazbaat mere kahin kuchh khoye huye se hain,
Kahu kese wo tumse thoda shrmaye huye se h
Par aaj na rok sakunga jazbaato ko main apne,
Krte h pyar hm tumhi se pr ghbraye huye se hai

Tujhe chahte hai be inteha par chahna nhi aata,
Ye kaisi mohabbat hai k hamein kehna nahi aata

Zindagi mein aa jao hamari zindagi ban kar,
Ke tere bin hamein zinda rehna nahi aata,

Har pal tujhe bus tujhe duaon me mangte hain,
Kya kare k tumhare siwa kuchh mangna nhi aata.

Apnaa hum safar bana le tu mujhey,
Tera hi saya hoon apnaa le mujhey,
Ye raat ka safar or b haseen ho jayega
Tu aaja mere sapno me ya bula le mujhe

Khushbu ki tarah meri har sans main,
Pyar apna basane ka wada karo.
Rang jitne tumhari mohabat ke hain,
Mere dil me sajane ka wada karo…

Sadiyo se ek sapna hain, kaho pura karoge tum,
Bhul jao mere siwa sb kuch, kaho aisa kroge tum
Nahi kuchh or tamanna ab, ke bs mere ho jao tum
Kabhi na chhor ke jaoge, kaho aisa karoge tum,
Faqat ek lafz sunne ko, kayi barson se tarsi hu,
Mujhe apna banaa lo, kaho aisa karoge tum.

Chand sa chehra dekhne ki ijazat de do,
Mujhe ye sham sajane ke ijazat de do,
Mujhe qaid kar lo apne ishq mein ya fir
Mujhe ishq karne ke ijazat de do…!!


Jazbaat mere kahin kuchh khoye huye se hain,
Kahu kese wo tumse thoda shrmaye huye se h
Par aaj na rok sakunga jazbaato ko main apne,
Krte h pyar hm tumhi se pr ghbraye huye se hai

Haan Jism To Hota Hai
Magar Jaan Nahi Hoti
Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai
Jahan Maa Nahi Hoti 

***

 

Yari imtihan nahi Pyar mangti hai,

Nazar aur kuch nahi Yar ka didar mangti hai.

Zindgi apne lie to kuch nahi,

Lekin Apke lie Dua hazar mangti hai.
***

 

Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!


* * *

 

Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya khata meri batayein.


* * *

 

Jis pal aap dil se muskuraoge,

Apni hasi mein hamari jhalak paoge.

Na samajna ke saath chhod diya hamne,

Palat kar dekhoge to har raah par hame paoge.


* * *

 

Ham Mohabbat Ki Numaish Nahi Kertay,
Ham Lafzon Ki Pemayesh Nahi Kertay,
Jissay Chahtay Hain Toot Ke Chahtay Hain,
Phir Kisi Or Ko Paanay Ki Khawahish Nahi Kertay.

 

* * *

 

Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->


* * *

 

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,

Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar me nahi,

Apne maathe ki woh tehreer mita li maine ......;->

 

* * * * *

 

Yu nazar ki baat kii aur dil chura gaye

Andhero ke saye mein dhadkan suna gaye

Hum to samajhe the ajnabi aapko

Par aap to hume apna bana gaye...;->

 

* * * *

 

Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi bedard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->

 

* * * *

 

 

"zindagi mohtaj nahi manzilo ki"

"Waqt her manzil dekha data hai"

"Marta nahi koi kisi se juda ho kar "

Waqt sab ko jeena sikha deta hai"

 


Tamam gham bhool jaane ko ji karta hai.Ab ek baar muskurane ko ji karta hai...Bahut ji liye yaaDON ke sahare...Ab tere paas aane ko ji karta hai,


 


Mayat pe meri do aansu baha jana
ab iss se aage hamein kahan jana
zindagi par mulaqat ko tarse hum
aakhir vaqt to tu janaze pe aajana


 


ansoo ki tara nazroo say giraya us ne
apni khabar na mile khuch ayse khak mein milya us ne
ilzam mug par lagaya ta mager bewafa vo khud ta
phele dewana baneya
Phir tokraya us ne
us ko maza ata ha mug ko tarpane mein
muge gile lakari ki tara jalaya us ne
aya na ta jis ko wada wafa karna
logoo ko jhota wafa ka kisa soneya us ne


 


Meri zindagi Teri Baat Ho
Jo Jhukay Nazar Tera Khwab Ho
Jo Uthy Nazar Teri Zaat Ho
Mere Haath me Ek Phool Ho
Woh Phool Tera Haath Ho.


 


Sachi hai Dosti aajmake dekh lo,
karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo.
badalta nahi kabhi sona apna rang,
chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo. 


 


Dil ki Halat batana nahi aata …
Kisi ko aisey Tarpana nahi aata ….
Sunna chahte hain ek baar
Aawaz aap ki …
Magar baat karne ka Bahana nahi aata !!


 


Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi


 


zindagi ne Khushiyo ko pukara hai
sada muskurao tum tumhara har ghum hamara hai
phool khilte rahe jeevan mein tumhare
kanto k liye daman sirf hamara hai……


 


KHUSHI MILI LeKIN HANS NA SAKEY.GHAM MILA LAKIN RO NA SAKEY.zindagi KA YEHI DASTOOR HE YAROO.JISY CHAHA OSY PA NA SAKY .JISY PAAYA OSY CHA NA SAKEY..Zuhair....


 


Fursat kisse hai zakhmo ko sehlane ki
nigahain badal gayi hain apne begano ki
humsafar hi saath chor gaya mera
ab tammana nahi aashiyane banane ki….




 

Bin tere ab koi Chahat nahi
Zindagi ki bhi koi khuwahish nahi
Tum nahi the to Zindagi main kuch kami thi
Ab hoker bhi tum mere nahi
Sab kuch paas hai magar
Ek tu hi to mere paas nahi
Hazaron ne hamain Chaha lekin
Ek tujh hi ko hamari Chahat nahi
Hum tere beghair bhi Jeene ki koshish karenge
Kyun ki ab hamain kisi aur ki zaroorat nahi


 

 

 

Kuch bikhre sapne aur ankho me nami hai.ek chota sa aasman aur umido ki jami hai.Yu to bahut kuch hai zindgi me sirf jinhe chahte hai unki kami hai.

 

 

Suraj kirne bikherta hai aapko dekhkar,phool khushbu chodte hai aapko dhekhkar, Hum apne dil ki kya kahe hajaro dil dhadkte hai apko dekhkar...

 

 

 

Musafir Ke Raaste Badalte Rahe; Mukaddar-Me Chalna Tha Chalte Rahe; Wo-Kya-The Jisne Hume Thukra Diya, Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe...

 

 

 

Waqt ke dayare se hum nikal na jaye.. aapke dil se kahin hum utar na jaye.. hum roz aapko yaad dilaya karenge.. warna kahin aap hume bhul na jaye

 

 

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Zaroori baat kehni ho , koi wada nibhana ho
Usay awaaz daina ho , usay wapis bolana ho
Hamaisha dai kar daita hoon
Madad karni ho uski,yaar ki dharas bandhana ho
Buhat daireena raston par kisi se milnay jana ho
Hamaisha dair kar daita hoon
Badaltay mosamon ki sair main Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho
Hamaisha dair kar daita hoon
Kisi ko mot se pehlay kisi gham se bachana ho

Haqeeqat or thi kuch us ko ja k ye batana ho
Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main........

 

 

 

Mere Haal Pe Unka Muskurana Gazab Tha,Bina Baat Muze Unka Sataana Gazab Tha,Milne K Baat Chale To Bahaana Bana Dena,Aur Bina Vaade K Unka.. aana.

 

 

 

Rishta Ulfat Ka Yun Nibaya Jata Hai Ashk Pikar bhi Muskuraya Jata Hai Aise b Mod Aate Hai Muhabbat Me Kisike Khatir Khudko Mitaya Jata hai.

 

 

 

Pyar Me Maut Se Darta Kaun Hai;Pyar Ho Jata Hai Karta Kaun Hai;Aap Jaise Yaar Par Duniya Kurban,Aur Aap Puchte Ho Ki Hum Par Marta Kaun Hai.

 

 

 

NA SAALAM YAAD RAKHNA
NA PAIGAAM YAAD RAKHNA
HO SAKE TO ZINDAGI MEIN
HAMARA NAAM YAAD RAKHNA

 

 


Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain

 

 


Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

 

 


Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to

 

 


Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat thi.....

 

 


Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

 

 


Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi

 

 


Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataaon main,
Teri soorat ubhar ke aati hai

 

 


Aaj ujaalay ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakhi
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat hogae

 

 


Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "ZUHAIR"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

 

 


kabhi chahtoon main chopa liyey,
kabhi nafrtoon main jala diya,

kabhi hans kar hum ko mana liya,
kabi ansoon main bha diya,

ya zindge b ajeeb hay,

kabhi khoshboo ban kar bikher gaey,
kabhi lamha bhar main guzer gaey,

kabi jugnoo ban kar chamak uthey,
kabhi mil k pher sey bicher gaey...!!!

 

 

 


Badalna ata nahi humko mousamon ki tarha
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na samait sakogi jise qayamat tak
Qasam KHUDA ki tumhain itna pyar karte hain

 

 


Log kehte hai mohabbat me hum mar jaayeinge,
Raah kaisi bhi ho hum guzar jaayeinge,
Tum sitam karke mohabbat ko naa mite paaoge,
Hum sitam seh kar bhi tere dil me utar jaayeinge.

 

 


Apna Pan Sekha Kar Judda Ho Gai
Na Soocha Tha Samjha Khafa Ho Gai
Duniya Main Ab Hum Kis Ko Apna Kehain Gain
Woh Bhi Sab Ki Tarhan Bewafa Ho Gai

 

 

 


Dard Ko bhi Ab Dard Hone laga hai,
Dard Khud hi Mere Zakham dhone lagha hai,
Dard ke sath kabhi Roye na hum,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Laga hai

 

 

 

MORE TO COME.....................

Site Admin:
 Muhammad Zuhair Nasir Bhiriya