Memon's Shayari World

Urdu Poetry SMS
Home
Dua Shyari
Zain's Collection
Sufi's Collection
Zuhair's Collection
Best Naats Videos
New Collection 2011
Contact Us
Urdu Poetry SMS

Hum Apne Aap Par Gharoor Nhi Krtay,


kisi ko Yaad Krne Par Majboor Nhi Krte,


Magr jise 1 bar Dil Main Basa Lain,


Phir Marte Dam Tak Usay Dil se Door Nhi Krte,
 
* * *
 
Dekh Lo Khawab Magr khawab ka Charcha Na Ho,

Log Jal Jain Gay suraj ki Tamana Na Karo

WaQat Ka Kia Hay kisi B pal Badal Sakta Hy,

Ho sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na Karo,

Kirchain Totay Howe Aks ki Chuban Jain Gi,

Aur Kuch Roz Abi Aina Dekha Na Kro,

Ajnabi Lagne Lage khud Tumhain Apnay Wajood,

Apne Din Raat ko itna Akela Na Kro,

Khwab Bachon k Khilono Ki Tarah Hotay Hain,

Khwab Dekha Na Kro

khwab Dikaya Na Kro

 
* * *
 
 
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee

* * *
 
 
Mujahy zid nahi meray galay ka haar ho jao
Akela chor dena tum jahan day-zaar ho jao
Bohat jaldi samjha mein aany lagtay ho zamanay ki
Bohat aasan ho thoray dushwar ho jao
Mulaqaton mein wafa is liye hona zarori hai
K tum ek din judai k liye tayyar ho jao
Mein kisi chil chilati dhoop k sehra say aya hoon
Bas ab aisa karo tum saya-e-deewar ho jao
Tumharay pass denay k liye jhooti tasali ho
Na aye aisa din tum is qadar naadar ho jao
Tumhein maloom ho jaeyga kaisay runj sehtay hain
Meri itni dua hai k tum tanha funkaar ho jao

* * *
 
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha

* * *
 
~~~~~TearZ~~~~~
Us nay kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain

* * *
 
Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai
Ab us say ankh milana ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein hamara kabhi bhi ho na saka
Ab uska khuwab mein ana ajeeb lagta hai
Baray khaloos say dawat tu us nay bheji hai
Par uski bazm mein jana ajeeb lagta hai
Tha jis ka hath kabhi hamaray hathon mein
Ab us say hath milana ajeeb lagta hai

* * *
 
Koi es tarah say meray sath adawat tu karta
Qaid kar leta mujhay aur hakumat tu karta
Meinay yeh kab kaha tha k woh sab ko chor day
Woh apnay andaz say karta par mohabbat tu karta

* * *
 
Mere Zarf Ka Ye Qaso0r Tha Main Dard-e-Dil Na Chupa Saka,
Mare Zarf Ne Bhi DaGha Dia Main To Zarf Bhi Na Bacha Saka,
Mara Nafs Ik Alaao Tha Meri Ro0h Tak Ko NiGal Gaya,
Main Khawhishon K Is Alaao Ko Na Jala Saka Na Bujha Saka,
Jo Di Dostoon Ne Aziyatain, Thi Wo Dushmano Ki Anayten,
Main Tamam Umar Darta Raha Koi Dost Phir Na Bana SakaH
Mujhe Muflasi Ne Thaka Dia,
Mere Walwalon Ko Sula Dia,
Mujhe LouG Ye Keh Kar Juda Ho0wy Ye To Kuch Bhi Na Bana Saka ..
 
* * *
 
 
Us Ne Do0r Rehne Ka Mashwara Bhi Likha Hei,
Sath He Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hei,
Us Ne Ye Bhi Likha Hei Mere Ghar Nahi Aana,
Or Saaf Saaf Lafzon Mein Raasta Bhi Likha Hei,
Kuch Harf Likhay Hein Zabt Ki Nasihat Mein,
Kuch Hurf Mein Us Ne Hosla Bhi Likha Hei,
Shukriya Bhi Likha Hei Dil Se Yaad Karnay Ka,
Dil Se Dil Ka Hei Kitna Faasla Bhi Likha Hei,
Kya Usay Likhain Or
Kya Usay Kahain,
Jis Ne Be Jaan Kar K Jaan Bhi Likha Hei ..!
 
^ ^ ^ * * *
 
Mujh ko uljha Huwa rehne Do MuQadar ki Tarah

Min Teri zulf Nhi jo Sanwar jaon Ga

Yaad aonga Zikar wafa me,main B

Ashk Ban k Teri ankhon mAin utar jaon Ga
 
* * *
 
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha

* * *
 
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi


* ^ * ^ * ^
 
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,

Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!

* * * * * * *
 
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai

Zuhair
 
* * * * * * * * * * * *
 
Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main Intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai

* * * * * *
 
Milay Na Tujhay Dukh Zindagi Mein,
Phool Ki Tarha Mehkay To Zindagi Mein,
Khush Rahay Too Sada, Dua Hay Meri,
Koi Gham Na Bahtkay Teri Zindagi Me
 
 
* * * * * ** * * * *

Hum ko kiske gam ne maara ye kahani phir sahi,
kisne toda dil hamara ye kahani phir sahi,

Dil ke lautne ka sabab puchho na sab ke samne,
naam aayega tumhara ye kahani phir sahi,

Nafraton ke tair kha kar doston ke shaher mein
hum ne kis kisko pukara ye kahani phir sahi,

Kya batayein pyar ki baazi wafa ki raah mein,
kaun jeeta kaun haara ye kahani phir sahi,

Hum ko kiske gam ne maara ye kahani phir sahi,
kisne toda dil hamara ye kahani phir sahi...

****^^^****

Chand utra tha hamare angan me,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila kare,
jab chand hi hamra na hua 

^^^***^^^

Wo to ambar hai,
Isay apnay anchal pay Chand sajany ka haq hai,
Me tu fakat khushbo ho,
Khushbo ka mokadar tu' azal se bikhar jana he likha hai.

^^^***^^^

Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai
Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye 
Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani
Kabhi Tera Maam Hoton se nikal na jaye
Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam
Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye 

^^^***^^^

 
MORE TO COME.....
 
 
 

Site Admin:
 Muhammad Zuhair Nasir Bhiriya