Memon's Shayari World

New Collection
Home
Dua Shyari
Zain's Collection
Sufi's Collection
Zuhair's Collection
Best Naats Videos
New Collection 2011
Contact Us
Urdu Poetry SMS

Kisi k dil main basna bura to nahi,
Kisi ko dil main basana koi khata to nahi,
Gunha ho yeh Zamane ki nazar main to kya,
Zamane wale koi KHUDA to nahi.

                       ^ ^ ^ *^ ^ ^

Dil ko dil lagi sa bachaya na ja saka,
Kismat sa apna ap churaya na ja saka,
Hairat hai log KHUDA ko kase bhool jate hain,
Hum sa to 1 insaan Bhulaya na ja saka.

                    ^ ^ ^ *^ ^ ^

Mehfil mien kuch To sunana parta hai,
Gham Chupa kay Muskerana parta hai,
Hum bhi kabhi Dost thay aap kay,
Aaj kal to aap ko yaad dilana padta hai.

                        ^ ^ ^ *^ ^ ^
Raat ghum sum hai magar chaand Khamosh nahi,
Kesay keh doun aaj phir hosh nai,
Aisa douba teri is tara k bato ki gehrai main,
Haath ma jaam hai magar pinay ka hosh nahi.

                      ^ ^ ^ *^ ^ ^
Teri yadon sa dil hamkalam rehta hai,
laboon per naam tera Subha shaam rehta hai,
Jis trhan chand chamakta hai asmano per,
Nazron main meri tera wo maqam rehta hai. (THIS FOR SOMEONE SPECIAL TO ME )

                           ^ ^ ^ *^ ^ ^

Jab bhi kahayal aya to aap ka aya,
Ankhien bandh ki to Khuwab aap ka aya,
Socha yaad karlon kisi apney ko,
pal do pal hount khule to naam aap ka aya.

                                  ^ ^ ^ *^ ^ ^

Wo jo dil mein tera maqam hai

Kisi aur ko wo dya nahi

Wo jo rishta tujhe se ban gaya

Kisi aur se wo bana nahi

Wo jo pyar tujhe se ho gaya

…Kisi aur se wo howa nahi

Wo jo raaz tujhe se hai kah dya

Kisi aur se wo kaha nahi

Wo jo sukh mila teri zaat se

Kisi aur se wo mila nahi

Tu basa hai aankhon mein jis tarah

Koi aur aise basa nahi

Tu howa hai jitna qareeb tar

Koi aur itna howa nahi

Tera naam dil mein hai jis tarah

Koi naam aise likha nahi (TO MY LOVE)

                                ^ ^ ^ *^ ^ ^

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha

Bigra Hi Rehta Hai Kyun Halaat Ki Terha

Wo Ek Sanam Jo Lage Jaan Se Pyara

Mujhe Waqt To Deta Hai Magar Kheraat Ki Terha

                                        ^ ^ ^ *^ ^ ^

Parh parh kitaban naam rakh leya Qazi

hath vich phar k talwar tun nam rakh leya Ghazi

Makky Madiny kumm aya tun nam rakh leya Hajji

Bully shah hasil ki kita je tun Yar na rakhya Razi

                                        ^ ^ ^ *^ ^ ^

Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye

sary haseen khawb mery choor ho gaye

humne wafa nibhai to badnamiyan milin

jo log bewafa thy wo mashhor ho gaye

                         ^ ^ ^ *^ ^ ^

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum

Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin

Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

                                        ^ ^ ^ *^ ^ ^

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Karaar Hun

Kisi Ke Kaam Na Aa Sake, Main Wo Ek Musht-e-Gubaar Hun

Mera Rang-Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muzse 
Bichhad Gaya
Jo Chaman Khiza Se Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasll-e-Bahaar Hun

                           ^ ^ ^ *^ ^ ^

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge

Hazar Chaho Na Ro Sako Ge

K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye

Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye

Rafaqtain In Main Choteti Hain

Mohabbatain In Main Rothti Hain

Pinapti Hain In Main Wehshatain Si

Aziatain In Main Photeti Hain

Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe

Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain


Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere

Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere

Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa

Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere

Khial Sare Jhulas Gai Hain

Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere

Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki

Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere


Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho


To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

                           ^ ^ ^ *^ ^ ^

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi

Din Raat Daudti Duniya Mein

Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi


Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai

Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke

Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi


Saare Naam Mobile Mein Hain

Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi

Gairon Ki Kya Baat Karen

Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi


Aankhon Me Hai Neend Badee

Par Sone Ka Waqt Nahi

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua

Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi


Paison Ki Daud Me Aise Daude

Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein

Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi


Tu Hi Bata E Zindagi

Iss Zindagi Ka Kya Hoga

Ki Har Pal Marne Walon Ko

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi


                                

                          ^ ^ ^ *^ ^ ^

Dil k jazbon ko sanbhal k rakho sada

ye mooti wafa k, inhen rola nahi kerty

chahat k dareechy bohat anmool hoty hain


har kisi k liye in dareechon ko khola nahi kerty

                            ^ ^ ^ *^ ^ ^

Yun Mehfil Nahi Hoti Our Nazaare Nahi Hote
Yun Chand Ke Pehlu Main Sitare Nahi Hote
Ham Is Lye Karte Hen Aap Ki Fikar
Kiunki Dil Ke Kareeb Sare Nahi Hote (SAMJH JAO)

                     ^ ^ ^ *^ ^ ^

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Loot Jata Hoon,
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Hoon,
………
Magar Phir Ae Mere Hamdam
Mujhe Itna To Batla Do,
K Wapis Kiss Taraf Jaoun
Kahan Sey Sath Lai Thay,
Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,
To Mujh Ko Is Trha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,
Bhatakne Sey To Behter Hai
Tumhary Pass Mar Jaoun.

                                 ^ ^ ^ *^ ^ ^

Tum Roth Jaya Karo,
Is Tarha,
Ke Jaise,
ZinDagi Ki Khuwahish Krne Walon Se,
…ZinDagi Roth Jati Hai,
Mujhe Sataya Karo,
Is Tarha,
Ke Jaise,
Mout Ke Tamanai Ko ZinDagi Satati Hai,
Sath Chor Jaya Karo,
Is Tarha,
Ke Jaise,
Khushboo Phool Ko Chor Jati Hai,
Magar!
Jab Mery Zabt Ke Bandhan Toot Jayein To,
Maan Jaya Karo,
Is Tarha,
Ke Jaise,
Gunahgaar Bandy Ke Girgirany Per,
KHUDA Maan Jata Hai.

                             ^ ^ ^ *^ ^ ^

SUNO…!!!
Mery Dill Mein Utro Zara Zara,
Mujy Holay Holay Pyar Do,
Meri Tishnagi Ko Barhao Phir,
…Meri Be-kali Ko Qarar Do,
Mujy Harf Harf Smait Lo,
Mujy Lafz Lafz shumar Do,
Ju Umar Bhar Na Utar Sakay,
Meri Ankh Ko Wo Khumar Do,
Mujy Likh Lo DiL Ki Kitab Pai,
Meri Rooh Khud Mein Utar Do,
Ju Jiye Mity Tery Naam Pai,
Mujy Aisa Shehar Nigar Do,
Mujy Chun Lo Phool Samajh K Tum,
Nayi Khushbuwon Ka Nikhar Do,
Awo Pyar Ka Us Khel Main,
Tum Jeet Jao Mujy Haar do.

                                 ^ ^ ^ *^ ^ ^

mujh sey baad-d-bahara’n nay ro ker kaha,
teri qismat bahaaro’n k qabil nahi,

teri dunya hay ashkon may dobi hoi,
teri aankhen nazaaro’n k qabil nahi,

meri kashti ko toofa’n ne bosy diay,
boli moj-e-talatum mujy deikh kar,

teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,
teri kashti kinaro k qabil nahi,

usney mehfil se mujko utha ker kaha,
meyra peecha KHUDA k liy chor do,

meri mehfil mein phir na aana kabhi,
ye muhabat k maaron k qabil nahi

                                            ^ ^ ^ *^ ^ ^

MORE TO COME.................


Site Admin:
 Muhammad Zuhair Nasir Bhiriya