Memon's Shayari World

Zain's Collection

Home
Dua Shyari
Zain's Collection
Sufi's Collection
Zuhair's Collection
Best Naats Videos
New Collection 2011
Contact Us
Urdu Poetry SMS

 
kya baat kahun un aankho ki
jin aankho pe mai marta hun

woh aankhein jheel si aankhein hain
jin mei doob k roz ubharta hun

mujhe dekhne k liye uthti hain
milte hi nazar jo jhukati hain

saare jahan mei aisi aankhein nahi
jin aankho pe mai marta hun

in aankho mei kabhi aansu na aaye koi
kabhi bhi gham na paas aaye koi

sada muskuraati rahein ye aankhein
har dam yeh dua mai karta hun

kya baat hai un aankho ki
jin aankho pe mai marta hun..
 
 
 
us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai..
be dard sahi woh mera humraaz to hai..
woh aaye na aaye mere paas lekin..
shidat se mujhe us ka intezaar to hai...
abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi..
mere dil main us se milan ki aas to hai..
pyaar ki gawahi mere aansoon se na maango..
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai..

 

 


aey khuda ajj ye frman likhde
har kushee mere dost k naam likh de
ager usko kushi dene k liatuje kissi ki mout chahiye
to us mout pe mera nam likh de

 
 
zara si baat dair tak rulate rahi
kushi mai bhi ankh ask bhati rahi
koi mil k kho gaya to koikho k mil gaya
bus zindagi humm eaise hi aazmati rahi 

 


kisi ne kaha phool se to aaj tak q khilta raha
tune dade kushbo sabko tujai kiya mila
phool ne muskura kr kaha abhi to nadan hai anjan hai hai jevan k sache pyar se
dene k badle kuch lena to karobar hai
pr jo de kr kch bhi na le wo yaar hai

 
ruth gaya hai koi mujh ko mane wala
ab nhi koi mere naz uthane wala
jane kya sochta hai ye khula darwaza
shahid bhool gaya rasta ane wala
 
 

har lafz ko kagaz me oraya nhi jata
har nam sar-e-aam pukara nhi jata
hote hain talok me kae raz ki baten
bus yohi kisi khel me haraya nhi jata
 

Wo mujh sse meri udaasion ki waja poochti hai
kitni pagal hai raat k sannaate ki waja poochti hai
woh mujh se mere aansuon ki waja poochti hai
kitni pagal hai baarish k barasne ki wajah poochti hai
woh mujh se meri pasand k baare mei poochti hai kitni pagal hai khud apne hi baare mei poochti hai
woh mujh se mere pyaar ki gehrayi poochti hai
kitni paagal hai saahil par khare samandar ki gehraayi poochti hai.
ye arzo thi k aisa bhi kuch howa hota
 
 

meri kami ne tujhe bhi rula diya hota
me laut ata tere simth aik lamhe me
tere labon ne mera nam to lia hota
aik pal ata hai app ki yad le kr

aik paljata hai app ki yaad de kr
humai to intezar us pal ka hai
jab aik pal aaey ga aap ko sath le kr


jis pal me tere yad na ho
wo pal to mene jiya nhi
jis waqt me tere talab na ho
us waqt ka ehsas mene kia nhi
jis zakhm me tera dard na ho
wo zakhm to mene siya nhi
is janam me jo tumhai mujh se ziada pyar kare
us ne to abhi tak janam lia nhi
hathely samne rkhna
 

sab anso giren usme
jo ruk jae honton pr samaj jana k wo me hon
jabhi chand ko dekho to tm yon muskra dene jo chal jae hawa thandi to ankhen band kr lena
jo jhonka tez ho sab se, samaj jana k wo me hon jo ziyada yaad aaoon main, to tm ro lena g bhar k
ager hichkiyan koi aye to samaj lena k wo me ho
ager tum bhulana chahomujai,sahyadbhulado tm
mager jab san lo gi to, samaj jana k wo me hon
 

manzil na rahui ko thekana bhi nhi
wapis mujai ab laut k jana bhi nhi
mene hi sikhaya tha use teer chalana
ab mere siva uska nishana bhi nhi
 

na rahe koi gila is qader wafa denge
tere 1 kushe ki khateransu tak baha den ge
kabhi na bhulaen ge tere dosti ko hum
dor reh kr bhi tmhai dil se dua denge
 

Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko guzar ne na diya
 
 

KISI KO MOHABBAT KI SACHAI MAR DALEGI,
KISIKO MOHABBAT KI GAHRAI MAR DALEGI,
KAR KE MOHABBAT KOI NAHI BACHEGA,
JO BACH GAYA USE TANHAI MAR DALEGI
 

do pal ki zindagiunhi beet jaegi
kali raat k bad nae subha aaegi
ager doston ki yaad sataegi to kasam se
tmhari yaad sab se pehle aaegi
 

ai khuda kabhi to us shaks ko mera kr de
mere tareek ratoon me bhi savera kr de
dill-e mahboob me ulfat ka diya roshan ho jae
ya mere gar me kch or andhera kr de
na sirf eid perzasrori he umeed uski
ab k aye to mere dil me basera kr de
tujh ko tere hi rehmat ka wasila hai''ya rab''
meri or us ki muhabbat ko wadhera kr de
dua jari hai yehi apne labon pe
jo shaks nhi mera use mera krr de 

 


tere yadon ki mehak sath liye aksar hum door khawaboo k jazeere me uter jate hain

q k me janta hon hm khaboo hi me milsakte hain

maine socha hia is bar humari tmhari aise jagaa utaroon ga


or tmhai apne pas betha kr tmhari ankho me ankhen dal kr

bari himmat kr k tum se keh don ga


tmse kh don ga k tm mere ho

tm jo chaho to mere yak tarfa muhabbat ko sahara de do

zindagi yon to buhat thori haim8uhabbat k liye

tm jitna bhi pyar de sako sara de do

kuch to bolo kuch to bolo

aisa na ho k sehar hote he hum apne dunya me wapis laut jaen

bus yehi cahnd khayalat liye,

tere yadon ki mehak sath liye aksar hum khawabon k jazere me uter jate hain

q k hum or tm sirf khawabon me hi mil sakte hai


kagaz pr hum ne zindagi likh di
ankhon se seench kr har kushi kikh di
dard jab hum ne utara lafzon me
zamane ne kaha wah kiyaa gazal likh di
 
 

samait lo in haste hoe lamhom ko
kia pata kal ye lamhe ho na ho
hon bhiye lamhe to kia malom
in lamhon me shamil hum ho na ho
 
 
 
na jane kon si bat aakhri hogi
najane konsi rat aakhri hogi
karni hai to kr lo ji bhar k baten
najane kon se sans aakhri hogi


 
 

us ne kaha
tum me pehle jaise bat nhi

mene kaha
zindagi me tera sath nhi

usne kaha
ab bhi kisi ki aankhon me doob jate ho

mene kaha
ab kise ki ankhon me wo baat nhi

us ne kaha
q itna toot kr chaha mujai

mene kha
insan hon pather zaat nhi

us ne kha
kya me bewafa hon?

mene kha
mujai ab wafa ki talash nhi

usne kha
bhul ja mujai

mene kha
tm haqeqat ho mera koi khuwab nhi
............
mera lafz lafz dua dua,

mere ansoanson se dhula huwa.

tmhai zindagi ki sehar mile,

tmhai kushbooan ka safar mile,

tum pr gard-e-gum bhi na ho sakey,

tera pyar jiss pr nisar ho,

wo hummesha tere pas ho,

tum pr kushyon ki barsat ho,

or tweel teri hayat ho
.........................
uska shukriya kuch is trha ada kron

wo kre bewafae me sada wafa karon

meri dosti ne itna sikhaya mujai

khud mit jaon pr uske lia dua kron
.................
gum k sagar me kabhi doob na jana

raho pe chal kr manzil na pao to toot na jana

zindagi me agr dost ki kami mehsoos kro to..........

hum hain ye bhol mat jana
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
ajj dareejeyme wo an bhul gaya,

me bhi apna diya jalana bhul gaya,

ajj mujai bhi uski yaad nhi aae,

or wo bhi mere khuwaboon me anabhul gaya,

bahar ne jab se ana chor dya,

musam bhi apna phool khilana bhul gaya,

chalte chalte me usko ghar le aya,

wo bhi mujhse apna hath churana bhul gae,

khat likha hai pr khat k kone per,


wo apni ankh ka anso mitana bhul gaya,

rooth kr dono hi aik ho jaga bethe,

me usko,wo mujhg ko manana bhul gae...............
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
barson ka intizar ka anjam likh dya,

kagaz pr sham kat kr phir shamm likh dya,

bhikri pri thi toot k kalyan zameen pr

terteb de k mene tera nam likh dya
.....................
Kuch to yeh zakhm-e-jigar rone se bhar jaega
kuch tera aks mere dil mei nikhar jaega


aur to kuch nahi hoga tere jaane se
bas meri zindagi ka sheerazah bikhar jaega


dooriyan qurb ka imkaan ghata deti hain
aankh se door na ho dil se utar jaega


dil nadi pyaar ki hai aa ke naha le is mei
rang tera bhi mere jaisa nikhar jaega


tu ne moonh mor lia to ay meri jaan-e-ghazal
tera shayir tera mehzob to mar jaega


usko paana hai to sar dhar ki lagao baazi
ye ishq ka khel hai is khel mei sar jaega


zindagi us ke hi qadmo mei bita de SUFI
uski zulfon se riha ho k kidhar jaega..
...................
pal pal tarse the is pal k lia

pal aya bhi to kuch pal k liye

socha tha use zindagi ka haseen pal bana den ge

par wo pal ruka bhi to sirf 1 pal k liye
.......................
itna pyar hai dil main mere
tum ho humsafer mere
chor na dena sanam mere
ghum bahot hai mere
berh gay tere any se sukh mere
saath rakhay humeay hamesha ye dua hai tujh se rab mere
.................
maang kabhi ulfat me jan bhi humse

hum teri kisi bat ko tala ni krte

tasdeek jo krni ho to aajana kissi shab

hum tere bina ghar me ujala nhi krte
....................
raaz dil ka dil me chupate hain wo

samne ate hi nazar jukate hai wo

baat krte hain ya hote nhi

par shukar hai jab bhi milte hai muskarate hai wo
............
suna hai usne baharon se dosti karli

humme bhula kar sitaroon se dosti krli

la kr chor dia humko mojoon me tanha

or khud usne kinaron se dosti krli
..........
In pyaar ki andhi raaho mei
kaise kaise nadaan lute
ghar baar ka lutna kya maaini
yahan saanson k samaan lute


taqdeer ki likhi takhti pe
ham rote hain kambakhti par
woh waqt tha in k joban ka
jab is dil k armaan lute


kis jins mei itni taaqat hai
jo loote in insaano ko
insaan ko loota insaan ne
yunhi to nahi insaan lute


kya is se aur bada hoga
halaat ka zalim andhapan
halaat k hathon dekho to
do din k bhi mehmaan lute


logon k dil mei mar k bhi
jo zinda hai woh zinda hai
maut asal mei uski hai
jiski har pehchaan lute..
.................
Zindagi naam ko hamari hai
aakhri saans bhi tumhari hai

teri chahat kahan pe le aayi
tujh se mil kar bhi bekarari hai

mujh se poocho chamak sitaaaro ki
mai ne ro ro k shab guzaari hai

aapke haath mei lakeerain hain
warna taqdeer to hamari hai

dil to mera torte ho lo toro
yeh cheez meri nahi tumhaari hai...
............
Us nay tora woh taluq
jo meri zaat se tha
us ko ranj na jane
meri kis baat se tha
la-taluq raha logon ki tarah who b
jo achi tarah waqif meri her bat se tha
.............
kismat toot gae dil k taare toot gae

wo bhi root gae sapne bhi toot gae

khazane me the sirf 2 ansoo

jab yaad apki aaye to wo bhi loot gae
..............
jene k lia dard ka saman buhat hai

kuch rooz se dil apna preshan buhat hai

milte hai shab-o-roz sabhi log shan se

bus 1 aap se mulaqat ka arman buhat hai
............
Zamane se suna tha k mohabbat haar jaati hai
jo chahat ek tarfa ho woh chahat haar jaati hai


kahin par dua ka e lafz bhi asar kar jata hai
kahin barso ki ibadat haar jaati hai


mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars deti hai
mohabbat ki baazi mei adawat haar jaati hai


hamein kitne bhishikwe hon uski jafaon k
par uske saamne har shikayat haar jaati hai


ek aarzu si hai k usko bhool jaayein ham
par uski yaad aati hai har hasrat haar jaati hai..
..........
har koi humme pane ki zid me hai

shayad koi aazmane ki zid me hai

jisko chahate hain hum itni shidat se

wohi humme bhulane ki zid me hai
.............
Marhale ishq k dushwaar nazar aane lage
door ho jaane k aasaar nazar aane lage


saare chehron pe mohabbat hi mohabbat dekhi
dil mei jab jhaanka to phir khaar nazar aane lage


ehad yaaro ne kiya saath nibhaane ka
waqt aaya to woh bezaar nazar aane lage


gham hi kuch aisa mila dil ne bahaye aansu
ab dilaase sabhi bekaar nazar aane lage


is mohabbat mei SUFI tajmahal ki soorat
jis taraf dekhiye shahkaar nazar aane lage..
..........
ager me 1 anso hota to


tmhari ankhon se ho kar tere hatho pr marna pasand krta

or

ager tum mere ankhon k anso hote to

vaada hai hum zindagi bhar na rote
...........
Mera to raabta ese jura hai shaam k saath
k jaise naam hai mera tere naam k saath


isi liye main wahan par dikhai deta hun
k nisbatein hi kuch aisi hain meri jaam k saath


karun hun rashk main is chandni ki qismat par
tamaam raat jo rehti hai is k baam k saath


koi rakhe jo hadein darmiyaan to rakhta rahe
mile koi to miloon main ehtiraam k saath


mere wajood mei chingaariaan si jalti hain
jo doobta hai yeh sooraj kisi k naam k saath..
...........
kabhi tere palkon me jilmilaon me

tere khayalon me khud ko bhul jaon me

beech samandar me ja kar daga mat dena

kaho to kinare per doob jaon me
...........
kisne dil ko tor diyd hai

tanha kr k chor dya hai

shakh pe nazuk phul khila tha

tez hawa ne tor dya hai

chal to bhi soch me bhi socho

kisne kis ko chor dya hai
.........
ankhon ki zaban wo samaj nhi pate

honton se hum bhi kuch keh nhi pate

apni be bassi hum kis tarha kahen

koi he jiske bina hum reh nhi pate
.........
le gaya wo sub kuch magar hosla rene dya

yonhi mere zindagi ka silsila rehne dya

hum gae the usko manane k lia

wo khafa acha laga hum ne khafa rehne dya
.........
  sukoon jan k liyeab me dua kaise karon

dard jab tmne diya he to gila kese karon

aksar louta hon manzil se yehi soch ker

ab mukammalyeh safar tere bina kaise karon

thi koi mere hi hanthon ki lakironmey kami

apni taqdeer ka ab tujh se gila kaise karon

ab munasid hai yehi k usko bhula don

han per phul ko kushboo se juda kaise karoon
............
es ada se bhi hon aashna tujai jis per itna guroor hai

ma jion ga tere bagair bhi muajai zindagi ka shaoor hai

jo samaj liya tha tujai bewafa to is me tera kia kasoor hai

ye khalal hai mere demag ka,ye mere nazar ka kasoor hai
..........
na thi usko humare pyaar ki qadar

ittefaq se usse ko chah rahe the hum

usse dye ne hummko jalaya

jisse hum hawa se bacha rhe the
..........
tujhse milne ki justojo bhi hai


dil me to rubaru bhi hai


mene socha k is dil ko jala don


phir khayal aya k is dil me to bhi to hai
.............
lafzon me mubabat ko bayan kr rhe hai


ajab ishq ki intiha kr rhe hai


hum chokhat pe dil ki khare hain unke


or wo humko mana kr rhe hain


kiya khub wadae wafa kr rhe hai
...........
Manzilein Bhi US ki thEEN......
RasTa bhi US ka Tha......
"EK MEIN AKAILI THA"
KafiLA bhi US ka thA...

sath SATh chalnay ki soch BHI US ki thi
phir RAsta badelnay ka FAISla bhi US ka tHA

"AAJ kyON AKAILI hoON??"
DIL SAWAAL kerTA HAY!!!!
LOG to US kay THAy Hi
kiya KHUDA bHI US ka Tha...
........
jab rat k tanha lamho me


koi ahat mujase khti he


is dil me halchal rhti hai


koi jugno pas se guzre to


koi bat halak se nikle to


me khudse ulgne lagta hon


phir jane kiya kiya khta hon


phir yaad tmhare ati hai


phir pal do palk lamhe ko


yeh sans mere ruk jate hai


1 shola dil me bharakta hai


woh dard sehar tak rehta hai


phir weham mujai ye kehta hai


koi mere dil me rehta hai

koi mere dil me rehta hon
........
yon rooth jan acha nhi lagta


yon tarpana acha nhi lagta


mere dil me jo baat hai mere ankhon se chura lo

mujai har batana acha nhi lagta
.........
usko buhat chaha magar wo mila nhi


laakh koshish ki magar fasla mita nhi


usko zamane ne majbor is qadar kr dya


k wo mere kissi sada per tehra nhi


har 1 se pocha sabab uske na milne ka


har 1 ne kaha wo tere lia bana hi nhi


me tamam koshshon ke ba wajood har gaya


jisne usse chaha hi nhi itni shiddat se ussey chaha


or wohi kissi or ka ho gaya


shayad is dunya me wafa ka sila hi nhi
.........
na jane konsijurm ki saza deta hai


apni hi baat per roz hi mukar jata hai


shamil hai is me bhi kuch halate waqt ka kirdar


verna kon muhabbat ko hasssi me uraa deta hai
..........
bade ajjeeeb hai ye zindagike raste


anjane mor perkuch log dost ban jate hain


milne ki kushi de ya na den


magar beecharne ka ghum zaror de jate hain
..........
suno tm laut aao na


wo dekho chand nikla hai


tmhare muntazir aankhein


duain mangti ankhein


tmhai hi socti ankhein


tmhai hi dundhti aankhein


tmhai wapis bulatee hain


ye dil jab bhi dharakta hai


tmhara nam leta hai


k aansoo jab bhi behtey hain


k baarish jab bhi hoti hai


tmhai hi yaad krti hai


kushi koi jo aae bhhi to tmhare bagair adhuri hai


tm laot aaona, tm laot aao na
.........
Koii chupkay chupkay kehta hai,

Koii geet likho meri ankhon per,

Koii sher kaho mere lafzon per,

In khushboo jesi baton per,

Chup chaap main sunta rehta hon,

Phir in jheel si gherii ankhon per,

Ik taza ghazal likh deta hon,

In phool jesi baton per,

Aik sher niya keh deta hon,

Yeh geet, ghazal yeh sher mere,

Sab us k piyar ka darpan hain,

Sab us k roop ka darshan hain,

Sab us ki ankh ka kajal hai...........
........
Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say raat din...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!

Jis par hamari aankh nay
Moti bichaye raat bhar
Bheja wohee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen

Ek shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!

Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Jab Aag per kaghaz rakha
Baqi bacha ..... Kuch bhee nahe
..........

phir usse chand se rista bana bethe


phir ussi sadgi se fareeb kha bethe


pathron se tha talluq hamara


phir bhi sheeshey ka ghar bana bethe
..........
zidagi me to sab hi pyar kia kerte hain


me to mar kr bhi tujai chahonga


to mila hai to ye ehsas howa hai mujhko


mere umer ab muhabbat me waqf hai
...........
Main Kya BataOn Sanam K tUjh Ko Yeh Sung Kya hAi GUlaab Kaisa
MuhabbatOn K HaSeen Saffar Mein AzziyatOn Ka Yeh Baab Kaisa
YaQeen Apna hAi Teri Chahat Gunaah Kya hAi Sawab Kaisa ,,
K wO Jo HarfOn Kii Vusa'atOn Sey Kahien Parey hAin bOhet Barey hAin
Jo Zakham Dil Par Lagey hAin Un Par Sawaal Kya hO Jawab Kaisa ,,
Samjh Na PaaOn Sambhal Na PaaOn K Shayed Ab K Main Mar Hii jAon
jUdaiyOn Key Kathin Saffar K Main Kya KahOn hAi NiSaab Kaisa ,,
DhUaan DhUaan hAi Yeh Dil Kii BaStii Chahaar SOo hAin Lapaktey ShOley
Bass Aik Nanhii Sii Meri KhaahiSh Pey Meray MOLA Azaab Kaisa
wOh Ranj Main Ney Sahey hAin Dil Par K Sarey Jazbaat Mar Gye hAin
Main Kya BataOn Sanam K tUjh Ko Yeh Sung Kya hAi GUlaab Kaisa,,,,,,,,,,,
...............
Usey Kehna
Mukammal Kuch Nahi Hota
Milan bhi na mukkamal hai
Judai bhi adhori hai
Yahan ek mout pori hai!

Usey kehna
Udaasi jab ragoon main
khoon ki manind utarti hai
Bohat nuksaan kerti hai!

Usey Kehna
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai..
...........

Site Admin:
 Muhammad Zuhair Nasir Bhiriya